Zikr e kherulwara bay khatar kijiay
Haan yahi kaam shaam o sahar kijiay
Haan yahi kaam shaam o sahar kijiay
Chaahtay ho jo barsay karam ki ghattaa
Aap kay ghar bhi a-ayn habeeb e khuda
Naat say roashni apnay ghar kijiay
Aap kay ghar bhi a-ayn habeeb e khuda
Naat say roashni apnay ghar kijiay
Gham milay ya kay haasil ho koii khushi
Lab pay jaari rahay ya nabi ya nabi
Iss taraah zindgaani basar kijiay
Lab pay jaari rahay ya nabi ya nabi
Iss taraah zindgaani basar kijiay
Har taraf say ghulaamon ki he yay sadaa
Almadad mustafa almadad mustafa
Sadqa hasnein ka ik nazar kijiay
Almadad mustafa almadad mustafa
Sadqa hasnein ka ik nazar kijiay
Zindagi mayn hazaron safar kar liay
Dil nay chaaha na chaaha magar kar liay
Ab dar e mustafa ka safar kijiay
Dil nay chaaha na chaaha magar kar liay
Ab dar e mustafa ka safar kijiay
Chaahtay ho jo barsay karam ki gahattaa
Lab pay jaari rahay mustafa mustafa
Iss taraah zindgaani basar kijiay
Lab pay jaari rahay mustafa mustafa
Iss taraah zindgaani basar kijiay
Laakhon tufaan heyn laykin kinara nahiin
Or naasir ka koii sahara nahiin
Ik nazar ik nazar ik nazar kijiay
Or naasir ka koii sahara nahiin
Ik nazar ik nazar ik nazar kijiay