Wo Suey La Lazaar Phirtey Hain

Wo Suey La Lazaar Phirte Hain
Tere Din Ay Bahaar Phirte Hain

Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain
Dar-Ba-Dar Yu Hi Khaar Phirte Hain

Phool Kya Dekhu Meri Aankhon Mein
Dashte Taibah Ke Khaar Phirte Hain

Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye,
Kyu Adu Gird E Gaar Phirte Hain

Unke Ima Pe Dono Bagho Par,
Khaile Lailo Nahar Phirte Hain

Wardiya Bolte Hain Har Kaare
Pehra Dete Suvaar Phirte Hain

Laakhon Qudsi Hain Kaam-E-Khidmat Par
Laakhon Girde Mazaar Phirte Hain

Har Charagh E Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwana Vaar Phirte Hain

Baaye Raste Na Ja Musafir Sunn
Maal Hain Rahbaar Phirte Hain

Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aayi
Gurg Behre Shikaar Phirte Hain

Rakhiye Jaise Hain Khanazad Hain Hum
Mol Ke Aibdaar Phirte Hain

Us Gali Ka Gada Hu Main Jisme
Maangte Taajdaar Phirte Hain

Haye Gafil Wo Kya Jagah Hain Jaha
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain

Koyi Kyu Pooche Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain

54 thoughts on “Wo Suey La Lazaar Phirtey Hain”

    1. अब हर कोई पुछे तेरी बात रज़ा..
      तेरे आशिक़ हजार फिरते है..

  1. Why should the admin change the lyrics? The poetry is written by Ala Hazrat (Alayhi Rahma) where he is addressing himself as a dog in the court of The Beloved ﷺ and even Taajush Shariah (Mufti Akhtar Raza) has asked the Ulema to not make changes to this Naat Shareef because even tho Ala Hazrat is a Mujadid e Deen e Milat he has compared his status to that of a dog (Subhan'Allah 😢) to show the EXTREMELY HIGH STATUS of RasoolAllah ﷺ peace and blessing upon him and his family and companions! JazakAllah Khair but I would advise u to follow Taajush Shariah's saying and not make amendments to Kalaam e Raza we are no one to change Ala Hazrat (Alayhi Rahma)'s poetry

    1. AALAH HAZART HAI AALA MUQAM AAPKA
      IS LIYE SAB PE LAB PAR HAI NAAM AAP KA
      MUSTAFA JANE REHMAT PE LAKHO SALAM
      KITNA MAQBOOL HAI YE SALAM AAPKA……

    1. पांच जाते हैं चार फिरते हैं का मतलब है के जब आप मैयत में जाते हो तब होते तो पांच लेकिन मैयत कर के लोटने वाले चार ही होते हैं
      और भाई आला हज़रत के कलाम को समझना हर किसी की बात नही हैं

  2. Panch jaate hain char phirte hain ka maana ye hai ki jab koi wafat paata hai to kabristan me 5 log jaate hain. 4 kandha dene wale aur ek jo wafat paa gaya. to phirte sirf 4 hi log hai.

  3. Koyi kyu puche teri baat raza
    Tujhse kutte hazar firte hain.. mere raza ne ye ashar kaha hai ki huzur ke dar k kutte hain. Ye aala hazrat keh rahe hain. Or hum hain ki aala hazrat ke dar ka ek zarra b nahi hai. Ye sher to haqq hi hai or me kehta hoon ki aala hazrat k dar pe mangate taajdar phirte hain.. subhanallah

  4. Koyi kyu puche teri baat raza
    Tujhse kutte hazar firte hain.. mere raza ne ye ashar kaha hai ki huzur ke dar k kutte hain. Ye aala hazrat keh rahe hain. Or hum hain ki aala hazrat ke dar ka ek zarra b nahi hai. Ye sher to haqq hi hai or me kehta hoon ki aala hazrat k dar pe mangate taajdar phirte hain.. subhanallah

  5. HAYE GAFIL WO KYA JAGAH HAIN JAHA
    PAANCH JAATE HAIN CHAAR PHIRTE HAIN

    It refers to when the deceased is taken to graveyard. Metaphorically its said that 4 people carrying the body of the deceased. so when they go to graveyard, its 5 persons and when they return, its 4 people. Hence said Paanch (5) Jaate Hain Chaar (4) Phirte Hain

    1. Ye naat sharif Madinah munwra me pdi gei hai
      Jab aaqa ka didar nhi huva to ye sher peda geya tha
      Koi kyu puche teri bat reza tujse kute hazar phirte hai jese hi ye line pedi to shirf hajrat imam Ahmad raza kha ne didar nahi kiya jitne log waha us waqt mojud the sab ne didar kiya

  6. Tujhse kutte hajaar phirte hai is a right one
    BhI thoda knowledge sudhaaro aap apna
    & Thoda research karo
    Yehi baat mere dada pir hoojoor Sarkar e Kalan & oonke pir Hamshabi e Ghous e Azam Ala Hazrat Ashrafi miya ne bhee kahi hai

  7. آپ نے اپنے آپ کو اس در کا کتا شمار کیا ۔وہ اعلیٰ حضرت ہے ۔ اور ہم اُس در کے کُتّے کی خاک بھی نہ ہے۔ ایسے اعلیٰ کُتّے ھے اُس در کے سبحان اللہ

  8. Murde ko dafan karne le jate waqt 5 log hote hain ,4 four le jane wale aur fifth 5wan khud murda aur baad tadfeen 4 hee wapas aate hain murda qabr me dafan ho chuka hota hai.

  9. Bhai Ala Hazrat Ne Lafze Kutta Hi istemal kiya. aur isi ashaar ki hi to darware naboowat me qeemat huyi hai jab ala hazrat ne farmaya na ki Tujhse Kuttey Hazar Firte hain Tab Huzur s.a.w. uth kar samne aa gaye aur aapko apna deedar karaya

  10. Huzur SAWW ke darwaze ke bahir Jo kutte pehre dar Hain. (yaani Aashisq/ghulam Jo Huzur SAWW ki ziarat ke talab gaar Hain). Ala Hazrat kehte Hain, Mai b un Mae se aik Hun. Agr nai samjhe tw apka kasoor nai h bas ishq ka matlab Sikh lo, samajh ajaye ga. Mae tanz nai Kar raha Allah waloon ki Shaan bayan kr raha Hun.
    Jazak Allah Khair brothers.
    """Ala Hazrat aajzi ka izhar kr rahe Hain"""

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top