Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye

Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye
Tu Unhi se Door Bhage Jinhein Tujh Pe Pyaar Aaye

Dam-e-Iztirab Mujhko Jo Khayal-e-Yaar Aaye
Mere Dil main Chain Aaye,To Isse Qarar Aaye


Na Habeeb se Muhib ka kahin aisa Pyaar Dekha
Woh Bane Khuda ka Pyaara, Tumhen Jiss Pe Pyaar Aaye

Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka,Mujhe Kiya Ho Gham Alam ka
Ke Ila’aj Gham Alam ka,Mere Gham Gusa’ar Aaye


Jo Chaman Banaye Ban Ko, Jo Jina’a Kare Chaman Ko
Mere Baagh Main Ilahi, Kabhi Woh Baha’ar Aaye

Sabab-e-Gufoor-e-Rehmat Meri Bezubaniyan Hain
Na Fuga’an ke Dhang Jaano’n, Na Mujhe Pukaar Aaye


Teri Rehmaton se Kam Hain, Mere Jurm Iss se Za’aid
Na Mujhe Hisaab Aaye,Na Mujhe Shuma’ar Aaye

Tere Sadqe Jaaye Sha’aha Yeh Tera Zaleel Mangta
Woh Waqar le Ke Jaaye Jo Zaleel-o-Khwar Aaye


Woh Kareem Hain yeh Sarwar Ke Likha Howa Hai Dar Par
Ke Jisse Lene Hon Do Ala’am Woh Umeed Waar Aaye

Tere Dar ke Hain Bhikari, Mile Khair Dam ha Dam Ki
Tera Naam Sun ke Da’ata, Hum Umeed Waar Aaye

13 thoughts on “Teri Wehshaton se Ae Dil Mujhe kiun Na Aar Aaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *