Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye

Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye


Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye

Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye

Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye

Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye



Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye

Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye

Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye


Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye

Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye


Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye

Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye

Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye


Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A'ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye

4 thoughts on “Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *