Qaseedah E Noor (Complete)

Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hain Taara Noor Ka

Baaghe Taibah Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Padhti Hain Kalmah Noor Ka

Baarhvi Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baarah Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka

Unke Kasre Kadr Se Khuld Ek Kamra Noor Ka

Sidra Paayi Baagh Me Nanha Sa Pauda Noor Ka

Arsh Bhi Firdaus Bhi Us Shahe Waala Noor Ka
Yeh Musagman Burj Wo Muskuye A’ala Noor Ka

Aayi Bida’at Chayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maahe Sunnat Mehre Tala’at Le Le Badla Noor Ka

Tere Hi Maathe Raha Ay Jaan Sehra Noor ka
Bakht Jaaga Noor Ka Chamka Sitara Noor Ka

Main Gada Tu Baadshah Bharde Piyala Noor Ka
Noor Din Duna Tera De Daal Sadqa Noor Ka

Teri Hi Jaanib Hai Paanchi Waqt Sajdah Noor Ka
Rukh Hain Qibla Noor Ka Abru Hai Qa’aba Noor Ka

Pusht Par Dhalka Sar-E-Anwar Se Shimla Noor Ka,
Dekhein Moosa Tur Se Utra Sahifah Noor Ka

Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka,
Sar Jhukate Hai Ilahi Bol Baala Noor Ka
 


Beeni Pur Noor Par Rakhshaan Hai Bukkah Noor Ka,
Hai Liwaa Ul Hamd Par Utra Pharera Noor Ka

Mus Haf E Aariz Pe Hai Khat E Shafee’ah Noor Ka,
Lo Siyahkaaro Mubarak Ho Qabala Noor Ka

Aab E Zar Banta Hai Aariz Par Paseena Noor Ka,
Mus Haf E I’jaaz PAr Charta Hai Sona Noor Ka

Pech Karta Hai Fida Hone Ko Lamha Noor ka,
Gird-E Sar Phirne Ko Banta Hai Imamah Noor Ka

Haibat E Aariz Se Thartharata Hai Shola Noor Ka,
Kafsh E Paa Par Gir Ke Ban Jaata Hai Guppha Noor Ka

Sham’a Dil Mishkaat Tan Seena Zujaja Noor Ka
Teri Surat Ke Liye Aaya Hain Sura Noor Ka


Mayl Kis Darja Suthra Hai Wo Putla Noor Ka,
Hai Gale Mei Aaj Tak Kora Hi Kurta Noor Ka

Tere Aage Khaaq Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka

Tu Hain Saaya Noor Ka Har Azwa Tukda Noor Ka
Saaye Ka Na Saaya Hota Hain Na Saaya Noor Ka


Kya Bana Naame Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka
Sar Pe Sehra Noor Ka Bar Me Shahana Noor Ka
 

Bazm E Wahdat Mei Maza Hoga Dobala Noor Ka,
Milne Sham’a Toor Se Jaata Hai Ikka Noor Ka

Wasf-E Rukh Main Gaati Hain Hoorein Tarana Noor Ka,
Qudrati Binau Mai Kya Bajta Hai Lehra Noor Ka

Ye Khitaab E Kun Me Aaya Turfa Aayah Noor Ka,
Ghair E Qaayil Kuch Na Samjha Koi Ma’na Noor Ka

Dekhne Walo Ne Kuch Dekha Na Bhala Noor Ka,
Man Ra’aa Kaisa Yeh Aaina Dikhaya Noor Ka

Sub-ha Kar Di Kufr Ki Sachha Tha Muzda Noor Ka,
Shaam Hi Se Tha Shab E Teerah Ko Dharrka Noor Ka

Parhti Hai Noori Bharan Umda Hai Daryaa Noor Ka

Sar Jhuka Aay Kisht E Kufr Aata Hai Ahlaa Noor Ka

Naariyon Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
(Ay Umar)Tumko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka


Naskh Adiyaa Karke Khud Qabza Bithaya Noor Ka,

Taajwar Ne Kar Liya Kachha Ilaaqa Noor Ka

Jo Gada Dekho Liye Jaata Hai Toda Noor Ka,
Noor Ki Sarkaar Hai Kya Isme Toda Noor Ka 


Bheek Le Sarkaar Se La Jald Kaasa Noor Ka,
Maahe Nau Taiba Me Bat’ta Hai Mahina Noor Ka


Dekh Unke Hote Na Zeba Hai Da’wa Noor Ka,
Mehr Likh De Yaa(n) Ke Zarron Ko Muchalka Noor Ka

Yaan Bhi Daagh E Sajdah E Taybah Hai Tamgha Noor Ka,

Ay Qamar Kya Tere Hi Maathey Hai Teeka Noor Ka

Sam’a Saan Ek Ek Parwaana Hai Is Baa Noor Ka
Noor E Haq Se Lau Lagaaye Dil Mei Rishta Noor Ka

Anjuman Wale Hai Anjum Bazm E Halqa Noor Ka

Chand Par Taaro Ke Jhurmut Se Hai Haala Noor Ka

Teri Nasl-E-Paak Me Hain Bachha Bachha Noor Ka
Tu Hain Ain E Noor Tera Sab Gharana Noor Ka 

Noor Ki Sarkaar Se Paaya Do-shala Noor Ka
Ho Mubarak Tumko Zunnurain Joda Noor Ka


Kis Ke Parde Ne Kiya Aayna Andha Noor Ka
Maangta Phirta Hai Aankhein Har Nageena Noor Ka

Ab Kaha Wo Taabishein Kaisa Wo Tarka Noor Ka

Mehr Ne Chupp Kar Kiya Khasaa E Dhundhlaka Noor Ka

Tum Muqabil The To Pehron Chaand Barhta Noor Ka
Tum Se Chhut Kar Moonh Nikal Aaya Zara Sa Noor Ka

Qabr E Anwar Kahiye Ya Qasr E Mo’alla Noor Ka

Charkh E Atlas Yaa Koyi Saada Sa Qubba Noor Ka

Aankh Mil Sakti Nahi Dar Par Hai Pehra Noor Ka

Taab Hain Be-Hukm Par Maare Parinda Noor Ka

Naz’a Me Lautega Khaaq E Dar Pe Shaida Noor Ka

Mar Ke Awrehgi Uroos E Jaa(n) Dupatta Noor Ka

Taab E Mehr E Hashr Se Chaunka Na Kushta Noor Ka
Boondiya(n) Rehmat Ki Dene Aayin Cheenta Noor Ka

Waz’ E Waaze’ Mein Teri Soorat Hai Ma’na Noor Ka

Yu Majaazan Chaahein Jis Ko Keh Dein Kalma Noor Ka

Ambiya Ajzaa Hai tu Bilkul Hai Jumla Noor Ka
Is ‘Ilaaqe Se Hai Un Par Naam Sachha Noor Ka

Ye Jo Mehr O Mah Pe Hai Itlaaq Aata Noor Ka

Bheek Tere Naam Ki Hai Isti’aara Noor Ka

Surmagin Aankhein Hareem E Haq Ke Wo Mushkin Ghazaal
Hai Fazaaye Laa Makaa(n) Tak Jinka Ramna Noor Ka

Taab E Husn E Garm Se Khil Jayengi Dil Ke Kanwal

Nau Baharein Laayega Garmi Ka Jhalka Noor Ka

Zar E Mehr E Quds Tak Tere Tawassut Se Gaye
Had E Ausat Ne Kiya Sughraa Ko Kubraa Noor Ka

Sabzah Gardon Jhuka tha Behr E Paa Bos E Buraaq

Phir Na Seedha Ho Saka Khaaya Wo Kora Noor Ka

Taab E Sum Se Chaundhiya Kar Chand Unhein Qadmon Phira
Hans Ke Bijli Ne Kaha Dekha Chalaawa Noor Ka

Deed E Naqsh E Sum Ko Nikli Saat Pardo(n) Se Nigaah

Putliyaa(n) Bolein Chalo Aaya Tamaasha Noor Ka

Aks E Sum Ne Chand Sooraj Ko Lagaye Chaar Chand
Par Gayaa Seem O Zar E Gardawn Pey Sikkah Noor Ka

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahd Me
Kya Hi Chalta Tha Isharo Par Khilona Noor Ka


Ek Seene Tak Mushabeh, Ik Wahan Se Pa’oon Tak,
Husn-E Sibtayn Unke Jamaun Main Hai Nima Noor Ka

Saaf Shaql E Paak Hai Dono Key Milne Se ‘Iyaan

Khat Tawam Mein Likha Hai Ye Do Warqah Noor Ka

Noor O Binte Noor O Jouze Noor O Umme Noor O Noor
Noor E Mutlaq Ki Kaneez Allah Re Lahna Noor Ka


Kaaf Gesu Haa Dahan Ya Abru Aankhein Ain Swaad

Kaaf Haa Ya Ain Swaad Unka Hain Chehra Noor Ka

Ay Raza Ye Ahmed E Noori Ka Faize Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseedah Noor Ka

20 thoughts on “Qaseedah E Noor (Complete)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *