Parho Durood Kay Maulood Ki Ghari Aayi
Har Ek Saa’at O Lamha Hai Qeemti Iss Ka
Har Ek Raat Se Barh Kar Mila Isay Rutba
Isi Liye To Ye Shab Behtareen Kehlaayi
Khuda Ka Shukr Karo Aur Parho Durood Un Per
Ke Aaj Laaye Hain Tashreef Haadi O Rehbar
Zamanay Bhar Mein Hai Mash-hoor Jin Ki Yaktayi
Chhatay Hain Badal E Ghum Khushiyan Saath Laayi Hain
Har Ek Chehray Pe Ab Muskurahat Aayi Hai
Har Ek Dil Mein Khushi Ki Baji Hai Shehnai
Jahan Mein Sabz Parchamo(n) Ki Bahaar Aayi Hai
Aur Aashiqo(n) Ne Makaan Har Gali Sajaai Hai
Hai Shaad Shaad Nabi Ka Har Ek Tamannayi
Jahan Goonj Utha Marhaba Ke Naaron Se
Khushi Hai Kaisi Na Poocho Ye Ghum Ke Maaron Se
Yehi Wohi Raat Hai Jo Kaif Ka Samaan Layi
Unhi Ke Dar Se Hi Darya E Jood Behtay Hain
Wo Aaye Jo Nahi Saail Ko Nahi Kehte Hain
Sakhawat Aisi Ataa Rab Ne Un Ko Farmayi
Shab E Wiladat E Sarkar Ka Hai Ye Sadqa
Ke Mil Gaya Hai Sana Ka Ubaid Ko Jazba
Musafir Is Ki Ye Mehnat Jabhi To Rang Laayi
Audio Credit: owaisqadri.com