Waah Kya Martaba Aay Ghaus Hay Baala Teraa,
Oonche Oonchon Key Saron Sey Qadam Aa’laa Teraa.
Sar Bhalaa Kya Koi Jaane Key Hay Kaisa Teraa,
Auliya Malte Hain Aankhein Woh Hay Talwaa Teraa.
Kya Dabe Jis Pey Himaayat Ka Ho Panjah Teraa,
Sher Ko Khatre Me Laata Nahin Kuttaa Teraa.
Tu Husaini Hasani Kyoon Nah Muhiyuddin Ho,
Aay Khizar Majma’-E-Bahrain Hay Chashma Teraa.
Qasmein Dey Dey Key Khilaata Hay Pilaata Hay Tujhe,
Pyaara Allah Teraa Chaahne Waala Teraa.
Mustafa Key Tane Bey Saaye Ka Saaya Dekha,
Jis Ney Dekha Meri Jaan Jalwaa-E-Zaybaa Teraa.
Ibn-E-Zahraa Ko Mubaarak Ho ‘Aroos-E-Qudrat,
Qaadiri Paayein Tasadduq Mere Dulhaa Teraa.
Kyoon Nah Qaasim Ho Key Tu Ibn-E-Abil-Qaasim Hay,
Kyoon Nah Qaadir Ho Key Mukhtaar Hay Baaba Teraa.
Nabavi Meenh ‘Alawi Fasl Batooli Gulshan,
Hasani Phool Husaini Hay Meheknaa Teraa.
Nabavi Zil Alawi Burj Batooli Manzil,
Hasani Chaand Husaini Hay Ujaalaa Teraa.
Nabavi Khur ‘Alawi Kooh Batooli Ma’din,
Hasani La’l Husaini Hay Tajallaa Teraa.
Behr-O-Bar Sheher-O-Quraa Sehel-O-Hazan Dasht-O-Chaman,
Kaun Sey Chak Pe Pohonchtaa Nahin Da’waa Teraa.
Husn-E-Niyyat Ho Khataa Phir Kabhi Karta Hi Nahin,
Aazmaayaa Hay Yagaana Hay Dogaana Teraa.
‘Arz-E-Ahwaal Ki Pyaason Me Kahaan Taab Magar,
Aankhein Aay Abr-E-Karam Takti Hain Rastaa Teraa.
Maut Nazdeek Gunaahon Ki Tahein Mail Key Khowl,
Aa Baras Jaa Key Nahaa Dho Le Ye Pyaasa Teraa.
Aab Aamad Woh Kahe Aur Mein Tayammum Bar Khaast,
Musht Khaak Apni Ho Aur Noor Ka Ahlaa Teraa.
Jaan To Jaate Hi Jaayegi Qayaamat Ye Hay,
Ke Yahaan Marne Pe Thehra Hay Nazaarah Teraa.
Tujh Sey Dar Dar Sey Sag Aur Sag Sey Hay Mujh Ko Nisbat,
Meri Gardan Me Bhi Hay Door Ka Doraa Teraa.
Is Nishaani Key Jo Sag Hain Nahi Maare Jaate,
Hashr Tak Mere Gale Mein Rahe Patta Teraa.
Meri Qismat Ki Qasam Khaayein Sagaan-E-Baghdad,
Hind Me Bhi Hoon To Deta Rahoon Pehra Teraa.
Teri Izzat Key Nisaar Aay Mere Ghairat Waale,
Aah Sad Aah Key Yoon Khwaar Ho Barda Teraa.
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrim-O-Naakaarah Sahi,
Aay Woh Kaisa Hi Sahi Hay To Kareema Teraa.
Mujh Ko Ruswaa Bhi Agar Koi Kahegaa To Yoon Hi,
Ke Wohi Naa, Wo Raza Banda-E-Ruswa Teraa.
Aay Raza Yoon Na Bilak Tu Nahin Jayyid To Na Ho,
Sayyad-E-Jayyid-E-Har Dehr Hay Mawla Teraa.
Fakhr-E-Aaqa Mein Raza Aur Bhi Ik Nazm-E-Rafee’,
Chal Likha Laayein Thanaa Khwaanon Mein Chehraa Teraa.
bhut khoob
Bahut ache
One of my favourite naat Shareef ♥️