Tu Hay Woh Ghaus Key Har Ghaus Hay Shaida Teraa,
Tu Hay Woh Ghais Key Har Ghais Hay Pyaasa Teraa.
Sooraj Aglon Key Chamaktey Thay Chamak Kar Doobe,
Ufaq-E-Noor Pey Hay Mehr Hamesha Teraa.
Murgh Sab Boltey Hain Bol Key Chup Rehte Hain,
Haan Aseel Ek Nawa Sanj Rahega Teraa.
Jo Wali Qabl Thay Ya Ba’d Huwe Ya Hongey,
Sab Adab Rakhte Hain Dil Mein Mere Aqaa Teraa.
Baqasam Kehtey Hain Shahaan-E-Sarifeen-O-Hareem,
Key Hua Hay Nah Wali Ho Koi Hamtaa Teraa.
Tujhsey Aur Dahar Key Aqtaab Sey Nisbat Kaisi,
Qutub Khud Kaun Hay Khaadim Tera Chelaa Teraa.
Saare Aqtaab Jahaan Karte Hain Kaa’be Ka Tawaaf,
Kaa’ba Karta Hay Tawaaf-E-Dar-E-Waala Teraa.
Aur Parwaane Hain Jo Hote Hain Kaa’be Pey Nisaar,
Shama’a Ek Tu Hay Key Parwaanah Hay Kaa’ba Teraa.
Shajr-E-Sar-O-Sahee Kis Key Ugaaye Tere,
Maarifat Phool Sahi Kis Ka Khilaaya Teraa.
Tu Hay Naushaah Baraati Hay Yeh Saara Gulzaar,
Laayi Hay Fasl-E-Saman Goondh Key Sehra Teraa.
Daaliyan Jhoomti Hain Raqs-E-Khushi Josh Pey Hay,
Bulbulein Jhoolti Hain Gaati Hain Sehra Teraa.
Geet Kaliyon Ki Chatak Ghazlein Hazaaron Ki Chehek,
Baagh Key Saazon Mein Bajta Hay Taraana Teraa.
Saf-E-Har Shajrah Mein Hoti Hay Salaami Teri,
Shaakhein Jhuk-Jhuk Key Baja Laati Hain Mujra Teraa.
Kis Gulistaan Ko Nahin Fasl –-E-Bahaari Sey Niyaaz,
Kaun Sey Silsile Mein Faiz Nah Aaya Teraa.
Nahin Kis Chaand Ki Manzil Mein Tera Jalwa-E-Noor,
Nahin Kis Aaine Key Ghar Mein Ujaala Teraa.
Raaj Kis Sheher Mein Kartey Nahin Tere Khuddaam,
Baaj Kis Neher Sey Letaa Nahin Darya Teraa.
Mazr’ae Chisht-O-Bukhara-O-Iraaq-O-Ajmer,
Kaun Si Kisht Pey Barsa Nahin Jhaala Teraa.
Aur Mehboob Hain, Haan Par Sabhi Yaksaan To Nahin,
Yoon To Mehboob Hay Har Chaahne Wala Teraa.
Is Ko Sau Fard Sarapaa Ba-Faraghat Oorhein,
Tang Ho Kar Jo Utarne Ko Ho Neema Teraa.
Gardanein Jhuk Gayin Sar Bich Gaye Dil Laut Gaye,
Kashf-E-Saaq Aaj Kahaan Yeh To Qadam Tha Teraa.
Taaj-E-Farq-E-Irfaa Kis Key Qadam Ko Kahiye,
Sar Jise Baaj Dein Woh Paaon Hay Kiska Teraa.
Sukr Key Josh Mein Jo Hain Woh Tujhe Kya Jaanein,
Khidr Key Hosh Sey Pooche Koi Rutba Teraa.
Aadmi Apne Hi Ehwaal Pey Karta Hay Qiyaas,
Nashe Waalon Ney Bhula Sukr Nikaala Teraa.
Woh To Choota Hi Kaha Chahein Key Hain Zer-E-Hadeed
Aur Har Auj Sey Ooncha Hay Sitarah Teraa.
Dil-E-Aa’da Ko Raza Tez Namak Ki Dhun Hay,
Ek Zara Aur Chirakta Rahey Khaamah Teraa.