Al Amaan Qeher Hay Aay Ghaus Woh Teekha Teraa,
Mar Key Bhi Chain Sey Sotaa Nahin Maara Teraa.
Baadalon Sey Kahin Rukti Hay Karakti Bijlee,
Dhaalein Cheent Jaati Hain Uthta Hay Jo Tegha Teraa.
Aks Ka Dekh Key Munh Aur Biphar Jaata Hay,
Chaar Aaina Key Bal Ka Nahin Nezaa Teraa.
Koh-E-Sar Mukh Ho To Ek Waar Mein Do Par Kaale,
Haath Parta Hi Nahin Bhool Key Aucha Teraa.
Is Pey Yeh Qeher Key Ab Chand Mukhalif Tere,
Chahate Hain Key Ghata Dein Kahin Paaya Teraa.
Aql Hoti To Khuda Sey Nah Laraai Lete,
Yeh Ghataein Usey Manzoor Barhaana Teraa.
Warafa’naa Laka Zikrak Ka Hay Saaya Tujh Par,
Bol Baala Hay Tera Zikr Hay Ooncha Teraa.
Mit Gaye Mit Te Hain Mit Jaayenge Aa’daa Tere,
Na Mitaa Hay Na Mitega Kabhi Charcha Teraa.
Tu Ghataaye Sey Kisi Key Na Ghata Hay Na Ghatay,
Jab Barhaaye Tujhe Allah Ta’ala Teraa.
Samm-E-Qaatil Hay Khuda Ki Qasam Unka Inkaar,
Munkir-E-Fadl-E-Huzoor Aah Ye Likkha Teraa.
Mere Sayyaaf Key Khanjar Sey Tujhe Baak Nahin,
Cheer Kar Dekhe Koi Aah Kaleja Teraa.
Ibn-E-Zahra Sey Tere Dil Mein Hain Ye Zeher Bhare,
Bal Be Ow Munkir-E-Be Baak Yeh Zuhra Teraa.
Baaz-E-Ashhab Ki Ghulaami Sey Yeh Aankhein Phirni,
Dekh Ur Jayega Imaan Ka Tota Teraa.
Shaakh Par Baith Key Jar Kaatne Ki Fikr Mein Hain,
Kahin Neecha Na Dikhaye Tujhe Shajra Teraa.
Haq Sey Bad Ho Key Zamaane Ka Bhala Banta Hay,
Are Main Khoob Samajhta Hoon Mua’mma Teraa.
Sag-E-Dar Qeher Sey Dekhe To Bikharta Hay Abhi,
Band Band-E-Badan Aay Roobeh Duniya Teraa.
Gharz Aaqa Sey Karoon Arz Key Teri Hay Panaah,
Bandah Majboor Hay Khaatir Pe Hay Qabza Teraa.
Hukm-E-Naafiz Hay Tera Khaamah Tera Saif Teri,
Dam Main Jo Chaahe Kare Dor Hay Shahaa Teraa.
Jis Ko Lalkaar De Aata To Ultaa Phir Jaaye,
Jis Ko Chamkaar Le Har Phir Key Woh Teraa Teraa.
Kunjiyan Dil Ki Khuda Ne Tujhe Dein Aisi Kar,
Ke Yeh Seena Ho Mohabbat Ka Khazeena Teraa.
Dil Pe Kundah Ho Tera Naam Key Wo Duzd-E-Rajeem,
Ulte Hi Paaon Phire Dekh Key Tughra Teraa.
Naz’aa Mein Gor Mein Meezaan Pe Sar-E-Pul Pe Kahin,
Na Chutay Haath Say Daamaan-E-Mu’alla Teraa.
Dhoop Mahshar Ki Woh Jaan Soz Qayaamat Hay Magar,
Mutmain Hoon Key Mere Sar Pe Hay Pallaa Teraa.
Bahjat Is Sir Ki Hay Jo Bahjatul Asraar Mein Hay,
Ke Falak Waar Mureedon Pe Hay Saaya Teraa.
Aay Raza Cheest-E-Gham Ar Jumlah Jahan Dushman-E-Tust,
Kardah Am Maamane Khud Qibla-E-Haajaate Raa.