Durood Lab Par Khayal Dil Mein Aur Ashq Aankhon Mein Aa Rahe Hain

Durood Lab Par Khayal Dil Mein
Aur Ashq Aankhon Mein Aa Rahe Hain
Huzoor Ke Dar Pe Jaa Rahe Hain
To Iss Kareene Se Jaa Rahe Hain


Rasool E Akram Zameen E Rabb Par
Kisi Tarha Ghum Nibha Rahe Hain
Jahan E Tarik Mein Lahu Se
Charagh E Ulfat Jala Rahe Hain


Charagh Tera Hai Noor Tera
Badan Bhi Tera Lahu Bhi Tera
Ye Sab Teri Milkiyat Hai Aaqa
Ke Hum To Karza Chuka Rahe Hain


Hum Apni Nafsaniyat Ke Chahkar
Tumhara Haq Kya Adaa Karenge
Bas Ik Tumhara Karam Hai Aaqa
Ke Jis Pe Takiya Laga Rahe Hain


Main Dayr Se Aa Sakunga Aaqa
Gunah Ki Gathriyan Lagi Hain
Ba Teri Rehmat Ke Aasre Par
Qadam Qadam Badhte Jaa Rahe Hain


Janaab E Adam Bhi Keh Rahe Hain
Madad Kisi Aur Darr Se Maango

Kaleem O Isa Bhi Mere Aaqa
Tumhari Janib Hi Aa Rahe Hain


Barouz E Mehshar Tumhara Mujrim
Tumhare Daman Mein Aake Chhupta

Magar Wahan Auliya Jama Hain
Jo Sur Sun Sun Ke Aa Rahe Hain


Mein Sakht Maayus Ho Chuka Tha
Ke Ghous E Azam Pukar Uthhe
Mere Aaqa Mere Muridon Ko
Jaane Kab Se Bula Rahe Hain


Humara Ghumkhwar Bhi Hai Koyi
Kisi Ko Humse Bhi Hai Mahabbat
Tumhari Naatein Suna Suna Kar
Zamane Bhar Ko Jata Rahe Hain


Teri Ghulmai Ki Tabedari Ko
Badshahi Mukabala Hai
Ke Ba-Yazeed O Junaid Jaise
Sifarishein Leke Aa Rahe Hain


Tumhari Sarkar Aala Shah Mein
Huroof E Ashraf Ki Aabru Kya

Wahan To Hassan Naat Khwan Hain
Raza Bhi Nagme Suna Rahe Hain



8 thoughts on “Durood Lab Par Khayal Dil Mein Aur Ashq Aankhon Mein Aa Rahe Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *