Poochte Kya Ho Arsh Par Yu’n Gaye Mustafa Ke Yu’n
Kaif Ke Parr Jaha’n Jale Koyi Bataye Kya Ke Yu’n
Qasre D(a)na Ke Raaz Me Aqle To Gum Hai Jaisi Hai
Ruhe Qudus Se Poochiye Tum Ne Bhi Kuch Suna Ke Yu’n
Maine Kaha Ki Jalwa E Asl Me Kis Tarah Gume
Subha Ne Noore Mehr Me Mitt Ke Dikha Diya Ke Yu’n
Haaye Re Zouq E Bekhudi Dil Jo Sambhalne Sa Laga
Chak Ke Mahak Me Phool Ki Gir ne Lagi Sabaa Ke Yu’n
Dil Ko De Nooro Daaghe Ishq Phir Mai Fida Do Neem Kar
Maana Hai Sun Ke Shaqqe Maah Aankho Se Ab Dikha Ke Yu’n
Dil Ko Hai Fikr Kis Tarah Murde Jhilate Hai Huzoor
Ay Mai Fida Laga Kar Ek Thokar Use Bataa Ke Yu’n
Baagh Me Shukre Wasl Tha Hijr Me Haay Haay Ghul
Kaam Hai Unke Zikr Se Khair Wo Yu’n Hua Ke Yu’n
Jo Kahe She’aro Paase Shar’a Dono Ka Husn Kyu’n Kar Aaye
La Use Paishe Jalwa E Zam Zame Raza Ke Yu’n
1 namber
I have no word for praising of Kalaame Sarkar Aala Hazrat.
میرے امام احمد رضا خان زندہ باد
Mashallah
subhanallah.
can you provide English translation of this naat sharif…
Masha allah
Masha allah..what a beautiful kalaam…Ala hazrat had written..❤
اعلیٰ حضرت رحمۃ اللّٰہ کا ھر کالام ایک سے بڑھ کے ایک ہے، اس کلام کا احاطہ کرنے کے لیے کوئی الفاظ نہیں ہیں کسی کے پاس
pochtay kia ho madiny se dia lya hun es klm ka maqta bta dain
P0chtay kia ho madinay se mn kia laya hun ye klm kis shair ka hy? es klm ka maqta k0n sa hy?