Tajalli E Noor e Kidam Ghous E Aazam
Ziya E Sirajuz Zulam Ghous E Aazam
Tera Hil Hai Tera Haram Ghous E Aazam
Arab Tera! Tera Ajam Ghous E Aazam
Wo Ik Vaar Ka Bhi Na Hoga Tumhare
Kaha Hai Mukhalif Me Damm Ghous E Aazam
Tere Hote Hum Par Sitam Dhaye Dushman
Sitam Hai Sitam Hai Sitam Ghous E Aazam
Badhe Housle Dushmano Ke Ghata De
Zara Le Le Teghe Do Dam Ghous E Aazam
Nahi Laata Khatir Me Shaho Ko Shaha
Tera Banda E Be-Diram Ghous E Aazam
Karam Chahiye Tera Tere Khuda Ka
Karam Ghouse Aazam Karam Ghous E Aazam
Karo Pani Ghumn ko Bahaa Do A’alam Ko
Ghataye Badhi Ho Karam Ghous E Aazam
Nazar Aaye Mujhko Na Surat Alam Ki
Na Dekhu Kabhi Ru-e Ghum Ghous E Aazam
Kuch Aisa Guma De Muhabbat Me Apni
Ke Khud Keh Uthu Me Manam Ghous E Aazam
Khuda Rakhe Tumko Hamare Saro Par
Hai Bas Ik Tumhara Hi Dam Ghous E Aazam
Dam-e-Naz’a Sirane Aajao Pyare
Tumhe Dekh Kar Nikle Dam Ghous E Aazam
Dam-e-Naz’a Aao Ke Dam Aaye Dam Me
Karo Humpe Yaseen Dum Ghous E Aazam
Ye Dil Ye Jigar Hai Ye Aankhe Ye Sar Hai
Jaha Chaho Rakhdo Qadam Ghous E Aazam
Tumhari Mahak Se Gali Kuche Mahke
Hai Baghdaad Rashke Iram Ghous E Aazam
Na Palla Ho Halka Hamara Na Hum Ho
Na Bigde Hamara Bharam Ghous E Aazam
Tumhare Karam Ka Hai Noori Bhi Pyasa
Mile Yum Se Isko Bhi Nam Ghous E Aazam
Ziya E Sirajuz Zulam Ghous E Aazam
Tera Hil Hai Tera Haram Ghous E Aazam
Arab Tera! Tera Ajam Ghous E Aazam
Wo Ik Vaar Ka Bhi Na Hoga Tumhare
Kaha Hai Mukhalif Me Damm Ghous E Aazam
Tere Hote Hum Par Sitam Dhaye Dushman
Sitam Hai Sitam Hai Sitam Ghous E Aazam
Badhe Housle Dushmano Ke Ghata De
Zara Le Le Teghe Do Dam Ghous E Aazam
Nahi Laata Khatir Me Shaho Ko Shaha
Tera Banda E Be-Diram Ghous E Aazam
Karam Chahiye Tera Tere Khuda Ka
Karam Ghouse Aazam Karam Ghous E Aazam
Karo Pani Ghumn ko Bahaa Do A’alam Ko
Ghataye Badhi Ho Karam Ghous E Aazam
Nazar Aaye Mujhko Na Surat Alam Ki
Na Dekhu Kabhi Ru-e Ghum Ghous E Aazam
Kuch Aisa Guma De Muhabbat Me Apni
Ke Khud Keh Uthu Me Manam Ghous E Aazam
Khuda Rakhe Tumko Hamare Saro Par
Hai Bas Ik Tumhara Hi Dam Ghous E Aazam
Dam-e-Naz’a Sirane Aajao Pyare
Tumhe Dekh Kar Nikle Dam Ghous E Aazam
Dam-e-Naz’a Aao Ke Dam Aaye Dam Me
Karo Humpe Yaseen Dum Ghous E Aazam
Ye Dil Ye Jigar Hai Ye Aankhe Ye Sar Hai
Jaha Chaho Rakhdo Qadam Ghous E Aazam
Tumhari Mahak Se Gali Kuche Mahke
Hai Baghdaad Rashke Iram Ghous E Aazam
Na Palla Ho Halka Hamara Na Hum Ho
Na Bigde Hamara Bharam Ghous E Aazam
Tumhare Karam Ka Hai Noori Bhi Pyasa
Mile Yum Se Isko Bhi Nam Ghous E Aazam
Subhaan-Allah
Bhalon ki toh hoti hai sari khudaee,
hum buron ka bhala kijiye Ghouse E Azam,
Badi mutmaeen zindagani hai uski hai jis par tumhara karam Ghouse E Azam
Subhaanallah I head this in Makkah shareef from Khalid bhai during Hajj 2015 🙂
Iska audio ya video pura chaiyye Mujhe
Abu farid ne padha hai lekin Adha hi upload kiye
Maa Shaa ALLAH ماشاء اللّٰه
Sub Haan ALLAH سبحان اللّٰه
sheikh abdul qadir gilani is the most nice and excellent personality