Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna

Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna
Tadapte Hai Tere Gulam Unse Kehna


Ho Jab Saamne Sabz Ghumbad tumhare
Nigahe Aqeedat Se Daaman Pasare
Hai Haazir Tumhara Ghulam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna


Badi Chahato Se Hai Iss Darr Ko Paaya
Pada Hi Rahu Darr Na Chute Tumhara
Na Jaunga Ab Tishnakaam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna


Phire Kab Talak Darr Ba-Darr Be Sahare
Kise Jaye Hum Apne Dil Ki Sunane
Tumhi To Banate Ho Kaam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna


Isi Aarzu Me Guzarte Rahe Din
Ki Pahuche Dayare Nabi Hum Bhi Lekin
Nahi Hai Koi Intezam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna


Dikha Do Anas Ko Dilkash Nazare
Taraste Hai Jinko Musalmaan Saare
Ye Baatein Basad Ehteraam Unse Kehna
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna

21 thoughts on “Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *