Mere aaqa ki hai shaan sabse alag
Jaise rutbe me qur’an sabse alag
Shaane khairul basher khatamul ambiya
Ik payambar ik insaan sabse alag
Shafqate be-sabab rehmate be-talab
unki bakshish ka unwaan sabse alag
unki bakshish ka unwaan sabse alag
Arsh qadmo me payvand poshak me
Hai do aalam ke sultaan sabse alag
Unko dekha nahi fir bhi pehchan le
Meri aankho ka imaan sabse alag
Unke darr ke gada sar pe taaje ana
Hum faqeero ki pehchan sabse alag
Naat kehte hai dil ki zameeno me hum
Shayar apna hai maidan sabse alag
Audio Credit: owaisqadri.com