Kaabe ke rounaq Kaabe ka manzar

Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar
Allahu Akbar Allahu Akbar
Dekhon tu dekhe jaon barabar
Allahu Akbar Allahu Akbar


Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane
 kaano mein russ gholtee hein Azaane
Bas ik sadaa aarahi he baraabar


Tere haram ki kya baat Mawla 
tere karam ki kya baat Mawla
Ta umar karde aana muqaddar


Maangi hein mein ne jitnee duae
manzoor hongi maqbool hongi
Meezab-e-Rehmat he mere sar par


Yaad agaye jab apni khataye 
ashkon mein dhalne lagee iltijaye
Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar


Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne 
chuuma he tujhko khud Mustafa ne
Ay sung-e-Aswad tera muqqadar


Mawla sabhi aur kya chahta he 
bas maghfirat ki ataa chahta he
Bakhshish ke talib pe apna karam kar

2 thoughts on “Kaabe ke rounaq Kaabe ka manzar

  • Maangi hein mein ne jitnee duae
    manzoor hongi maqbool hongi
    Meezab-e-Rehmat he mere sar par

    iss ke dosray misery mein agar aisa hota tu bhi shayed acha lagta
    'manzoor hongi meri itlajaen'
    (duaen – iltajaen)

    beher haal – bohut bohut shukriya is website ka.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *