Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Jo Naam-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.
Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.
Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم karne se fan maila nahi hota.
beatiful naat
Who wrote this kalam?
Who is the author of this kalam?
Good naat
Masha Allah bahut Acha
Ala hazrat Ahmed Raza khan
Nice
nice dear Be healthy always
Mujaaddide din e millet parwanaye shame risalat ashamed e mahe nabuwat ash sha ahmed raza khan barely shareef