Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema
Mere Ghar Me Khairul Waraa Aa Gaye Hai
Bade Auj Par Hai Mera Ab Muqaddar
Mere Ghar Rasool E Khuda Aa Gaye Hai


Uthi Chaarsu Rehmato Ki Ghataye
Mu-attar Mu-attar Hai Saari Fazae
Khushi Me Ye Jibreel Nagme Sunaye
Wo Sha-faye Rouze Jaza Aa Gaye Hai


Ye Zulmat Se Kehdo Andhere Uthale
Ke Hai Har Taraf Ab Ujale Ujale
Kaha Jinko Haq Ne Sirajammuneera
Mere Ghar Wo Noor E Khuda Aa Gaye Hai


Ye Sunkar Sakhee Aapka Aastaana
Hai Daaman Pasare Hue Sab Zamana
Nawaso Ka Sadqa Nigah E Karam Ho
Tere Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hai


Mukarrab Hai Be-Shaq Khaleelo Najee Bhi
Badi Shaan Waale Kaleemo Maseeh Bhi
Liye Arsh Ne Jinke Qadmo Ke Bouse
Wo Ummi Laqab Mustafa Aa Gaye Hai


Khuda Ke Karam Se Nakirain Aa Kar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar
Utho Behre Ta’azeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool E Khuda Aa Gaye Hai

10 thoughts on “Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *