Tumhaare Dar Pe Jo Main Baryaab Ho Jaau
Qasam Khuda Ki Shaha Kaamyaab Ho Jaau
Jo Paau Bosa E Paa E Huzoor Kya Kehna
Main Zarra Shams O Qamar Ka Jawab Ho Jaau
Meri Haqeeqat E Faani Bhi Kuch Haqeeqat Hai
Maru(n) To Aaj Khayal Aur Khwaab Ho Jaau
Jahaan Ke Qaus O Qaza Se Farayb Khaye Kyun
Main Apne Qalb O Nazar Ka Hijaab Ho Jaau
Jahaan Ki Bigdi Isi Aastane Se Banti Hai
Main Kyu Na Waqf Dar E AanJanaab Ho Jaau
Tumhara Naam Liya Hai Talatam E Ghum Mein
Main Ab To Paar Risaalat Ma-aab Ho Jaau
Ye Meri Doori Badal Jaaye Qurb Se Akhtar
Agar Woh Chahein To Mein Baryaab Ho Jaau