Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Unki Rasaai Hai
Gar Unki Rasaai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai
Machla Hai Ke Rehmat Ne Ummeed Bandhaai Hai
Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banaai Hai
Sab Ne Saf E Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko
Aye Bekaso(N) Ke Aaqa Ab Teri Duhaai Hai
Yun To Sab Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho
Yeh Toote Hue Dil Hi Khaas Unki Kamaai Hai
Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare
Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagaai Hai
Baazar E Amal Mein Toh Sauda Na Bana Apna
Sarkar Karam Tujh Mein Aibee Ki Samaai Hai
Girte Huwo Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula
Ro Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Uthaai Hai
Aye Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth
Dum Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Ramaai Hai
Mujrim Ko Na Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do
Munh Dekh Ke Kya Hoga Parde Mein Bhalaai Hai
Ab Aap Hi Sambhalein Toh Kaam Apne Sambhal Jaayein
Humne To Kamai Sab Khelon Mein Ganwaai Hai
Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Chhute Saste
Joh Aag Bujha Degi Woh Aag Lagaai Hai
Hirso Hawas E Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le
Tu Hi Nahi Beygana Dunya Hi Paraai Hai
Hum Dil Jale Hain Kiske Hat Fitnon Ke Parkaale
Kyun Phoonk Du Ik Ufs Se Kya Aag Lagaai Hai
Taiba Na Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zaahid
Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhaai Hai
Matl’A Mein Yeh Shak Kya Tha Wallah Raza Wallah
Sirf Unki Rasaai Hai Sirf Unki Rasaai Hai