Woh Sarwar E Kishwar E Risalat Jo Arsh Per Jalwah Gar Huye Thay
Naye Nirale Tarab Kay Saaman Arab Ke Mehman Kay Liye Thay.
Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni Lay Main Yeh Ghar Ana Dil Ka Boltay Thay.
Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Say Anwar Hastay Aatay Idhar Say Naf-Haat Ooth Rahay They.
Yeh Joot Padti Thi Unkay Rukh Ki Kay Arsh Tak Chandni Thi Chhatki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aainay They
Nayi Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Kay Sanwara Sanwar Kay Nikhra
Hajar Key Sadqay Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They.
Nazar Main Dulha Key Pyaray Jalway Haya Say Mehrab Sir Jhukaye
Siyah Parday Kay Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Say Thay.
Khushi Kay Badal Umand Kay Aaye Diloon Kay Taoos Rang Laye
Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe Thay
Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Kay Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker
Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bharay They.
Dulhan Ki Khushboo Say Mast Kapray Nasim E Gustakh Aanchloon Say
Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahay Thay.
Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen
Saba Say Sabzah Main Lehrein Aateen Dupattay Dhani Chunay Huye Thay.
Naha Kay Nehroon Nay Woh Chamakta Libas Aabay Rawan Ka Pehna
Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Kay Thal Takay Thay.
Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hajoom E Tare Nigah Say Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley Thay.
Ghubar Ban Ker Nisaar Jayein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Payein
Hamaray Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Kay Per Jahan Biche Thay.
Khuda Hee Day Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhay Woh A’alam
Jab Unko Jhurmat Main Lakay Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahay Thay.
Utar Ker Unkay Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada
Kay Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangtay Thay.
Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahanay May Jo Gira Tha Pani Katoray Taroon Nay Bhar Liye Thay.
Bacha Jo Talwoon Ka Unkay Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan
Jinhoon Nay Dulha Ki Payi Utran Woh Phool Gulzar E Noor Kay Thay.
Khabar Yeh Tehweelay Maher Ki Thi Kay Rut Sunhani Ghadi Phiray Gee
Wahan Ki Poshak Zay-Bay Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chukay Thay.
Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Paray Jama Kar Kharhay Salami Kay Waastay Thay.
Jo Hum Bhi Waan Hotay Khaq E Gulshan Lipat Kay Qadmoon Say Ley Tay Utran
Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Kay Din Likhay Thay.
Abhi Na Aaye Thay Pusht E Zeen Tak Kay Sir Hui Maghfirat Ki Shallak
Sada Shafa’at Nay Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomtay Thay.
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna
Shuaein Bukkay Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pay Saieqay Thay.
Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein Day Kar Inhein Hatao
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika May Yeh Ghal Ghale Thay.
Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Kay Raaste Bhar
Ghiray Thay Badal Bharay Thay Jal Thal Umand Kay Jangle Ubal Rahay Thay.
Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unkay Rah Guzar Ki
Utha Na Laya Kay Miltay Miltay Ye Daagh Sab Dekhte Mite They
Burraq Kay Naqshe Sum Kay Sadqe Woh Gul Khilaye Kay Saray Rastey
Mehaktay Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe Thay.
Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ayan Houn Ma’ani E Awwal Akhir
Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aagay Kar Gaye Thay.
Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflaq Jam O Mina Ujaltay Thay Khangaltey They.
Naqab Ultay Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per
Falak Ko Hebat Say Tap Charhi Thi Tapaktay Anjum Kay Aablay Tha
Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabay Gohar Qamar Qamar Tha
Safaey Rah Say Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pay Laut’tay Thay.
Badha Ye Lehra Kay Behr O Wahdat Key Dhul Gaya Naam E Raige Kasrat
Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule Thay.
Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate
Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The.
Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Say Damaan
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Kay Sab Aeno Aan Say Guzar Chuke Thay.
Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aayi Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Payi
Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gaye Thay.
Thakay Thay Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley Thay.
Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Say Eik Bhabuka Phoota
Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe Thay.
Jiloo Main Jo Murgay A’qal Uray Thay Ajab Booray Haloon Girtay Partay
Woh Sidrah Hee Per’rahay Thay Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gaye Thay.
Qavi They Nurgan E Waham Kay Per Uray To Urdnay Ko Aur Dam Bhar
Utha’ee Seenay Ki Aisi Thokar Kay Khoonay Andesha Th’oo’ktay Thay.
Suna Yeh Itnay Mein Arsh E Haq Nay Kay Lay Mubarak Ho Taaj Waley
Wohi Qadam Khair Say Phir Aaye Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere Thay.
Yeh Sunkay Bay Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa
Phir Unkay Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Kay Din Phire Thay.
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde May Bazme Bala
Yeh Aankhein Qadmoon Say Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahay Thay
Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Kay Sari Qindileen Jhilmilayeen
Huzoor E Khurshid Kya Chamaktay Chairagh Moun Apna Dekh Tay Thay.
Yehi Sam’an Tha Kay Paikay Rehmat Khabar Yeh Laya Kay Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastaay Thay.
Badh Ay Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad
Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Mazay Thay.
Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Bay Niyazi
Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takazay Visal Kay Thay.
Khirad Say Keh Do Kay Sir Jhuka Le Gumaan Say Guzray Guzarnay Walay
Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laalay Kisay Bataye Kidhar Gaye Thay.
Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha.
Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhalay Thay.
Udar Say Payham Taqazay Aana Idhar Say Mushkil Qadam Barhana
Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubhartay Thay.
Barhay To Lekin Jhee-Jhaktay Dartay Haya Say Jhuktay Adab Say Ruktay
Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pay Rakhtay To Lakhoon Manzil Kay Fasilay Thay
Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka
Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsilay Thay.
Hua Yeh Aakhir Kay Aik Bajra Tamojay Bahrey Hoo Mein Ubhra
Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Kay Langar Utha Diye Thay.
Kisay Milay Ghat Ka Kinara Kither Say Guzra Kahan Utra
Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Say Khud Chupay Thay.
Uthay Jo Qasray Dana Kay Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar Day
Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Kay Woh Bhi Na Thay Aray Thay.
Woh Baag Kuch Aisa Rang Laya Kay Guncha O Gul Ka Faraq Uthaya
Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoolay Guloon Kay Takmay Lagay Huay Thay
Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil
Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukaye Ajeeb Chakar Mein Da’eray Thay.
Hijab Uhnay Mein Lakhoon Parde Har Aik Parday Main Lakhon Jalway
Ajab Ghari Thi Kay Waslo Furqat Janam Kay Bichray Galay Milay Thay.
Zabanein Sukhi Dikha Kay Mojein Tarap Rahi Thien Kay Pani Paein
Bhanwar Ko Yeh Zofay Tashnagi That Kay Halqay Aankhoon Mein Par Gaye Thay.
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir
Usi Kay Jalway Usi Say Milnay Usi Say Uski Taraf Gaye Thay.
Kaman E Imakan Kay Jhutay Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho
Muhit Ki Chal Say To Pucho Kidhar Say Aaye Kidhar Gaye Thay.
Udhar Say Theen Nazray Shah Namaz’ain Idhar Say Inaam E Khusravi Mein
Salam O Rehmat Kay Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Paray Thay.
Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chukay Thay.
Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pay Tha Khuld Ka Sitara Kay Iss Qamar Kay Qadam Gaye Thay.
Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Kay Tabishoon Say Mah E Arab Ki
Jina Kay Gulshan Thay Jhaar Farshi Jo Phool Thay Sab Kanwal Banay Thay.
Tarab Ki Nazish Kay Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Kay Hill Na Sakiye
Yeh Josh E Ziden Tha Keh Poday Kasha Kish E Arah Kay Talay Thay.
Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Kay Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Kay
Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Kay Tarkay Aa Liye Thay.
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat Raza Pay Lillah Ho Inayat
Isay Bhi Unn Khal’atoon Say Hisa Jo Khas Rehmat Kay Waan Bate Thay
Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na
Na Shayari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaisay Kafiye Thay.
MashaALLAH
Haq raza ya raza
Maslake alahazrat zindabad
Beshaq 😥
Subhan Allah 😍✨😍
Ala Hazrat ki kya hi baat hai . ❤️
My favorite one all time ♥️♥️♥️❤️❤️