Peshe Haq Muzdah Shafa’at Ka Sunatein Jayenge

Pesh-E-Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay
Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay

Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoon Say Wo
Hum Say Piyaason Kay Liyay Darya Ba-Ha-Tay Jaayeingay

Kushtgaane Garmiye Mahshar Ko Wo Jaane Maseeh
Aaj Daaman Ki Hawa De Kar Jilate Jayenge

Gul Khilega Aaj Yeh Unki Naseeme Faiz Se
Khoon Routay Aayenge Hum Muskurate Jayenge

Haan Chalo Hasrat Zad-Oon Suntay Hain Wo Din Aaj Hai
Thee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayeingay

Kuch Khabar Bhee Hai Faqeeron Aaj Wo Din Hai Kay Wo
Na’mat-E-Khuld Apnay Sadqay Meyn Luta-Tay Jaayeingay

Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai
Khud Wo Girr Kar Sajdah Meyn Tum Ko Utha –Tay Jaayeingay

Wus’ateyn Dee Hain Khuda Nay Daaman-E-Mehboob Ko
Jurm Khultay Jaayeingay Aur Wo Chupatay Jaayeingay

Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseeron Kee Taraf
Khirman-E-Is’iyaan Pay Bij-Lee Gira-Tay Jaayeingay

Sokhta Jaano Pe Wo Pur Joshe Rahmat Aaye Hain
Aabe Kausar Se Lagi Dil Ki Bujhate Jayenge

Aaftaab Unka Hii Chamkega Jab Auron Ke Chiraag
Sarsare Joshe Bala Se Jhilmilate Jayenge

Paaye Quba Puul Se Guzrenge Teri Aawaaz Par
Rabbi Sallim Ki Sada Par Wajd Laate Jayenge

Sarware Di Lije Apne Naatwano Ki Khabar
Nafso Shaitaan Sayyida Kab Tak Dabate Jayenge

Hush-Ar Tak Daa-Leyn-Gay Hum Pey-Da-Ish-E-Maula Kee Dhoom
Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayeingay

Khaak Ho Jaayei(N) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza
Dum Mey(N) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayei(N)Gay

18 thoughts on “Peshe Haq Muzdah Shafa’at Ka Sunatein Jayenge”

  1. Shayari me Aala Hazrat Rahumahullah ka Ishq jhalak rha hai, unke jaisi koi Shayari nhi.
    Aur unke bad agar Shayari me koi hai to Allama Iqbal Rahimahullah hai.

  2. Ek nazar dekhunga hashr mai unko jis ghadi
    Wo hasaane aayenge aur main to rota jaaunga

    Kyu main rou ae Raza unki surat dikh jaane ke baad
    Wo aeb sab chhupa kar hamare hamko hasate jaenge

    Janta hu muzrim hu Aaqa par dil se ishe ye jaata nhi
    Is ishq ki badolat aap hamari shafa'at karate jaaenge

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top