Karte Hain Jinn O Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka

Karte Hain Jinn O Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka
Baj Raha Hai Chaar Soo A’alam Mein Danka Ghaus Ka

Naar e Dozakh Se Bachayega Sahaara Ghaus Ka
Le Chalega Khuld Mein Adnaa Ishaara Ghaus Ka

Naz’a Mein Marqad Mein Mahshar Mein Madad Farmayenge
Ho Chuka Hai Ahad Pehle Hi Hamara Ghaus Ka

Khaaliq E Kaun O Makaan Ne Pehle Hi Roz E Azal
Likh Diya Hai Meri Peshaani Pe Banda Ghaus Ka

Kya Ajab Be-Poochhe Mujh Ko Chorh Dein Munkar Nakeer
Dekh Kar Mere Kafan Par Naam Likha Ghaus Ka

Naz’a Mein Marqad Mein Mahshar Mein Kahin Bhi Ya Khuda
Haath Se Chhoote Na Daaman E Mu’alla Ghaus ka

Haa(n) Zaraa Thehro Firishto Phir Jo Chaaho Poochna
Kar To Lene Do Mujhe Pehle Nazara Ghaus Ka

Sab Khaas O Khashaak Isyaa(n) Aan Mein Beh Jaayega
Josh Par Aa Jaayega Jis Waqt Darya Ghaus Ka

Jholiyaa(n) Phailaao Daudo Bheek Lo Daaman Bharo
Bat Raha Hai Aastaa(n) Par Aam Baada Ghaus Ka

Aankhein Malne Ke Liye Haath Aaye Chaukhat Ghaus Ki
Sar Ragadne Ke Liye Mil Jaaye Rauza Ghaus Ka

Sajda-gaah E Jinn O Insaa(n) Aap Ka Naqsh E Qadam
Taaj Waalo(n) Ke Liye Hai Taaj Talwa Ghaus Ka

Roshni E Sham’a Se Kya Kaam Andhi Aankh Ko
Mo’mino(n) Ke Chashm E Dil Mein Hai Ujaala Ghaus Ka

Saltanat Shaah E Madina Ne Ataa Farmaayi Hai
Raa-ij Iqleem E Wilaayat Mein Hai Sikka Ghaus Ka

Jalte Hain Dushman Khuda Ke Un Ke Zikr O Fikr Se
Wird Sab Allah Waale Karte Hain “Ya Ghaus” Ka

Kar Rahe Hain Ashqiya Koshish Ghataane Ki Magar
Roz Afzoon Ho Raha Hai Bol Baala Ghaus Ka

Naqsha E Shaah E Madina Saaf Aata Hai Nazar
Jab Tasawwur Mein Jamaate Hain Saraapaa Ghaus Ka

Sadqe Is Banda Nawaazi Ke Fida Is Deen Ke
Hum Se Kutte Pal Rahe Hain Khaa Ke Tukda Ghaus Ka

Hashr Mein Uttha Huwa Hai Roo E Anwar Se Niqaab
Aashiqo(n) Dil Khol Kar Kar Lo Nazaara Ghaus Ka

Umr Bhar Rakhna Jameel E Qadri Wird E Zubaa(n)
Naam Haq Ka, Aur Habeeb E Kibriya Ka, Ghaus Ka

Ghaus Ko Kyu(n) Kar Na Aaye Pyaar Tum Par Ae Jameel
Hai Raza Murshid Tumhaara Jab Ke Pyaara Ghaus Ka

1 thought on “Karte Hain Jinn O Bashar Har Waqt Charcha Ghaus Ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *