Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein
Sang Reze Paate Hai Sheeri(n) Maqaali Haath Mein
Be Nawaaon Ki Nigaahein Hain Kahaa Tehreer E Dast
Reh Gayi Jo Paa Key Jood E Laa Yazaali Haath Mein
Kya Lakeero(n) Mein Yadullah Khat Sar O Aasa Likha
Raah Yu(n) Iss Raaz Likhne Ki Nikali Haath Mein
Jood Shah E Kousar Apne Pyaso(n) Ka Juya Hai Aap
Kya Ajab Udd Kar Jo Aap Aayein Pyaali Haath Mein
Abre Nisyaa(n) Mo’mino(n) Ko Taigh E Uriyaa(n) Kufr Par
Jam’a Hain Shaan E Jamaali O Jalaali Haath Mein
Maalik E Qounain Hai Go Paas Kuch Rakhte Nahi
Do Jahaa(n) Ki Ne’amatein Hai Unke Khaali Haath Mein
Saaya Afgan Sarr Pe Ho Parcham Ilahi Jhoom Kar
Jab Liwa Ul Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein
Har Khat E Kaff Hai Yahaa(n) Ay Dast E Bayza E Kaleem
Mo’jazan Dariya E Noor Be Misaali Haath Mein
Wo Giraa Sangi E Qadr E Mas Wo Arzaani E Jood
Nauiya Badla Kiye Sang O La-Aali Haath Mein
Dastageer E Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko
Ay Mein Qurbaa(n) Jaan E Jaa(n) Angusht Kya Li Haath Mein
Aah Wo Aalam Ki Aankhein Band Aur Lab Par Durood
Wakf E Sang E Dar Jabee(n) Rouze Ki Jaali Haath Mein
Jiss Ne Bai’at Ki Bahaar E Husn Par Qurbaa(n) Raha
Hain Lakeer E Naqsh E Taskheer E Jamaali Haath Mein
Kaash Ho Jau(n) Lab E Kousar Mein Yu Warafta Hosh
Le Kar Uss Jaan E Karam Ka Zail E Aali Haath Mein
Aankh Mahw E Jalwa E Deedar Dil Purjosh E Wajd
Lab Pe Shukr E Bakhshish E Saaqi Piyali Haath Mein
Hashr Mein Kya Kya Mazee Waraftagi Ke Lu Raza
Lout Jaun Paa Ke Woh Daama(n) E Aali Haath Mein