Furqate Taiba Kee Wehshat Dil Se Jaaye Khair Se
Me Madina Ko Chaloo Wo Din Phir Aaye Khair Se
Dil Mein Hasrat Koyee Baaqi Rah Na Jaaye Khair Se
Raahe Tayba Mein Mujhe Yoon Maut Aaye Kahir Se
Mere Din Phir Jaaye Ya Rabb Shab Wo Aaye Khair Se
Dil Me Jab Maahe Madina Ghar Banaaye Khair Se
Raat Meree Din Bane Unki Baqaaye Khair Se
Qabr Me Jab Unki Tal?At Jagmaghaaye Khair Se
He Ghanee Ke Dar Pe Hum Bistar Jamaaye Khair Se
Khair Ke Talib Kahaan Jaa?Enghe Jaaye Khair Se
Wo Khiraame Naaz Farmaaye Jo Paaye Khair Se
Kya Bayaan Woh Zindagee?Ho Dil Jo Paaye Khair Se
Mar Ke Bi Dilse Naajaaye Ulfaht Baage Nabee
Khuld Me Bi Bhaag Janaa Yaad Aaye Khair Se
Ranjo Gham Hon Benishaan Aaye Bahaar Be Khizaa
Mere Dil Me Bhaage Janaa Ki Huwaaye Khair Se
Istaraf Bi Do Qadam Jalwe Khiraam Naaz Ke
Reh Ghuzar Me Hum Bi He Aankhe Bichae Khair Se
Ho Mujhe Seere Ghulistaane Madina Yoon Naseeb
Me Bahaaronme Chaloo Khud Ko Gumaaye Khair Se
Zindabaad Ae Arazoo-E-Baaghe Tayba Zindabaad
Tere Dhum Se He Zamaane Ke Sitaaye Khair Se
Najdiyo Kee Cheera Dusthee Ya Ilaahee Ta’Bake
Ye Balaaye Najdiya Tayba Se Jaaye Khair Se
Jhaanhklo Aankho Me Unkee Hasrate Tayba Liye
Zaa’ere Tayba Ziyaa’e Tayba Laaye Khair Se
He Ye Tayba Ka Payaame Taalibe Aaishe Dawaam
Jannat E Tayba Me Aahistee Mitaaye Khair Se
Sanghe Dar Se Aa Mile Tayba Me Abtojaa Mile
Aagaye Dar Pe Tere, Tere Dar Pe Bulaaye Khair Se
Ghosh Bar Aawaaz Ho Qudsee Bhi Iske Geet Par
Baaghe Tayba Me Jab Akhtar Ghunghunaaye Khair Se