Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho

Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho
Seene Pe Tasalli Ko Tera Haath Dhara Ho


Gar Waqte Ajal Sir Teri Chaukhat Pe Jhuka Ho
Jitni Ho Qaza Ek Hi Sajde Me Ada Ho


Tum Zaat E Khuda Se Na Judaa Ho Na Khuda Ho
ALLAH Ko Ma’alum Hai Kya Jaaniye Kya Ho


Ye Kyu Kahu Mujhko Ye Ataa Ho Ye Ataa Ho
Wo Do Ke Hamesha Mere Ghar Bhar Ka Bhala Ho


Dekha Unhe Mehshar Me To Rehmat Ne Pukara
Aazad Hain Jo Aapke Daaman Se Bandha Ho


Firdous Ke Baagho Se Udhar Mil Nahi Sakta
Jo Koyi Madine Ke Bayaba Me Ghuma Ho


Mangta To Hain Mangta Koi Shaho Me Dikha De
Jisko Mere Sarkaar Se Tukda Na Mila Ho


Mitti Na Ho Barbaad Pase Marge Ilahi
Jab Khaaq Ude Meri Madine Ki Hawaa Ho


Aata Hain Faqeero Pe Unhe Pyar Kuch Aisa
Khud Bheekh De Khud Kahe Mangta Ka Bhala Ho


Dhundha Hi Kare Sadr Qayamat Ke Sipahi
Woh Kisko Mile Jo Tere Daaman Me Chupa Ho


De Daaliye Apne Lab E Jaa Baksh Ka Sadqa
Ay Chara E Dil Dard E Hasan Ki Bhi Dawa Ho

9 thoughts on “Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *